Thursday, December 17, 2009

Bhangarh ki sacchai


Hello friends,
Blogs ki duniya mein apka swagat hai. Mera nam hemant mittal hai. Mein jaipur pratap nagar mein rehta hoon. Aaj 17/12/2009 se mein blog likhna start kar raha hoon.
Aaj mein apko hamare bhangarh trip ke bare mein batane ja raha hoon. Mein aur hamara 9 logo ka group ravivar ko bhangarh ghoomne gaya. Bhangarh ko world ka most haunting place mana jata hai. kaha jata hai ki bhangarh mein bhoot rehte hai. Lekin mein in batoon ko nahi manta.
kehte bhi hai ki -
Ae kabristaan tere aagosh mein itna sannata kyu hai.
log to apni jaan dekar bhi tujhe aabad karte hain.
Hamara group nikla tha us sunsan virane ki sacchai janne. Log kehte hain ki jo us jagah raat ko ruka hai vo vapas nahi aaya hai. Ham log jaipur se subha 6 baje hi bhangarh ke liye ravana ho gaye. hamare group mein mere 8 hamsafar dost devendra jangid, himanshu mahur, naveen tripathi, shravan singh, radheshyam jangid, sandeep singh, rajesh choudhry, yashveer singh the. kareeb 9 baje ham bhangarh pahunch gaye. Bhangarh jaipur se kareeb 100 km hai. Gola ka baas se kareeb 3 km andar jakar bhangarh pahunja jata hai.Door se hi bhangarh ke purane khandar dikhna chaalu ho jate hai. Bhangarh Pahunchte hi sabse pehle gate ke bahar ek kua hai jo kisi dandata ne banwaya hai. purane jamane mein log apne naam ke liye kuye, babdiya khudwaya karte the. ye kua bhi usi ki ek nishni hai. Jis par kua banwane wale ka naam likha hua hai.
Main gate par bhartiya puratatva bibhag ka notic board laga hua hai. jis par saaf likha hua hai ki suryodya se pehle aur suryasta ke baad andar jana mana hai. yahan kevda ke pedoon ki bharmaar hai. ye ped yahan gov. se protected hai. Andar pravesh karte hi sabse pehle gard room hai. Jismein ek purana gard karib 40 saal se duty par hai. jo saam hote hi ghar chala jataa hai. bagal mein hi Hanuman ji ka pracheen mandir hai. Aage chalte hi Bhangarh ke kandaroon ka khatarnaak manjar dikhna start ho jaata hai. sune pade veeran mehal, khophnaak aawajein, apne khndar hone ka dard bayan karte raja rani ke mehal.
Bhangarh ko purana jaipur kaha jata hai. Yahan jaipur ki tarah hi choopad, baajar, mandir, kila aur mehal hai. jo puri tarah se khandar ho chuke hai. Kaha jata hai ki yahan raja bhanu prata singh rajya karta tha. jinke naan par bhangarh rajya ki sthapna ki gayee thi.unki patni rani ratnavati bahut sundar thi. usi rajya mein ek bada tantrik rehta tha. Jab usne rani ko dekh to us par mohit ho gaye aur use pane ki lalsa karne laga. Ek din rani ki dasi bajar rani ke liye itra lene gayee, us itra par us tantrik ne sammohan mantra phenk diya. jab dasi us itra ko lekar rani ke paas pahunch to rani ko kuch galat hone ka aehsaas ho gaye aur usne itra ko ek chaattan par phenk diya. itra ko chattan par phenkte hi chattan udkar us tantrik ke peeche chal di. Tantrik bhagne laga aur us chattan ke neech dab gaya aur marte marte us tantrik ne shrap de diya ki kuch din baad hi yeh rajya nast ho jayega. Aur hua bhi aisa hi kuch dino baad aisa toofan aya ki sara rajya khandar ke roop mein tabdeel ho gaya. Aur us toofan mein kafi log mare gaye . lekin Raja aur rani bachkar nikal gaye aur unhone amer mein akar apne pran bachaye aur amer ki sthapna ki. Kaha jata hai ki us khandar mein kafi log mare gaye the jisse unki aatmayein vaha ghoomti hai. lekin vahan aisa kuch bhi nahi hai. Bhangarh bada pyara sa historical palace hai. jise dekhrekh ke abhav mein bhulaya ja raha hai aur yeha aur bhi jyada khandar hone ke kagar par hai . hamne ise kafi enjoy kiya. Aur mein apse kahoonga ki aap bhi is place ko ghoomein aur ise bachane ka prayatna kare.


Apka
Hemant mittal

16 comments:

  1. very nice hem . . . . . .
    mene bhi yeh story aaj fear files ke threw dekhi . . .
    very interesting . . . . .

    ReplyDelete
  2. Bro Aapne waha night spend ki?

    ReplyDelete
  3. bhooto me to hum bhi vishwas nhi krte but ap bgair puri baat pta kiye conclusion pr kaise pahoch sakte h....??? did u spent a night there.....????
    if no then this article is incomplete....

    ReplyDelete
  4. Thik hai ..hum bhi ghumnea ayengea ..mujhea histrocial place dekhna bahout acha lagata hai..jab bhoot ka baat hai tab to jarur jaunga........

    ReplyDelete
  5. Yeh kahani aap ne apne sea likha hai ya ooha ke village ke people bataya hai.reply karna.

    ReplyDelete
  6. thanks batane ke liye maine bhi aj tak bhoot nahi dekha ha suna bahot hain khair thanks again

    ReplyDelete
  7. mail waha ja raha hu agar bhoot hoga to use friends bana lunga aur agar dain hogi to pata lunga

    ReplyDelete
  8. i hav been at bhangarh fort till 8.30 pm than got bored and came back.

    the reason why its fearsome is because of the crappy stories we hear about it and that no life or electricity exists der

    ReplyDelete
  9. First you spent a night there than I say

    Thanks hemant true story but suspence

    ReplyDelete
  10. story puri ni he but nice waise me waha jane wala hu lekin koi frnd ni he agar koe mere sath ana chahta he to jo intrested he wo muje message kar sakte h facebook shah harsh

    ReplyDelete
  11. Good story I most like ghost and I also visit this place in future.

    ReplyDelete
  12. koi rat bhar ruka hoye to batana jara :D

    ReplyDelete